Gold Trading (XAUUSD) — Meri 4 Saal Ki Kahani Aur Asli Haqeeqat
Gold trading mein paisa banana itna asaan nahi jitna YouTube pe dikhta hai. Meri apni 4 saal ki journey, galtiyan, aur jo maine seekha — sab kuch seedha aur sachcha.

Gold trading mein 95% traders nuqsan karte hain — pehle demo account pe kam az kam 3 mahine practice karein, risk management seekhein, aur ek hi strategy par discipline ke sath kaam karein.
Jab maine pehli baar XAUUSD chart dekha, to laga yeh to bahut simple hai. Price upar jaaye to buy, neeche jaaye to sell. Aur phir account mein se paisa gayab hona shuru hua.
Yeh post un logon ke liye hai jo gold trading shuru karna chahte hain — ya shuru kar chuke hain aur samajh nahi aa raha ke nuqsan kyun ho raha hai.
XAUUSD Kya Hai?
XAU gold ka symbol hai aur USD dollar. Matlab aap gold ko dollar ke against trade kar rahe ho. Jab dollar kamzor hota hai to gold upar jaata hai. Jab duniya mein koi bada economic news aata hai — Federal Reserve ka decision, inflation data, geopolitical tension — gold hil jaata hai.
Yeh sirf ek commodity nahi, yeh pure duniya ki economy ka barometer hai.

Main Pehle Crypto Mein Thha
2016 mein maine Binance pe Bitcoin aur altcoins se shuru kiya. Paanch hazaar dollar sey ziyada gaya. Tab laga ke trading meri cheez nahi. Lekin curiosity nahi gayi.
Phir forex seekha. Phir gold. Aur ek time aaya jab cheezein samajh aane lagin.
Gold Trading Mein Sabse Badi Galti
Log sochte hain:
- Ziyada trade karo = ziyada paisa
- News aaye to foran enter karo
- Stop loss mat lagao, price wapas aayega
Yeh tino cheezein account destroy karti hain. Main ne yeh sab khud kiya hai.
Asli trading mein kabhi kabhi din guzar jaata hai aur ek bhi trade nahi hota. Market agar clear signal nahi de rahi to sideline rehna bhi ek decision hai — aur aksar sabse behtareen decision.
VSA — Volume Spread Analysis
Maine ek course kiya Volume Spread Analysis ka. Yeh mera turning point tha. VSA mein aap dekhte ho ke price kahan move ho raha hai aur volume kya keh raha hai. Jab dono milte hain to trade clear ho jaata hai.
Badar Tanveer (YouTube), Trader Riaz (live sessions), WaliBabaFX — in logon se bahut seekha. Lekin sabse zyada seekha khud market se — roz chart dekh ke, roz notes likh ke.
Kya Gold Trading Safe Hai?
Seedha jawab: Nahi — agar samjhe baghair karo.
95% traders nuqsan mein jaate hain. Yeh main nahi keh raha, yeh brokers ke apne statistics hain.
Lekin agar aap seriously seekhein — chart analysis, risk management, psychology — to is market mein earning possible hai. Main khud ghar ka kharcha trading se chalata hoon. Lekin ismein 2 saal seekhne ke baad aaya.
Shuru Karne Walon Ke Liye Mashwara
- 1.Pehle demo account pe practice karo — kam az kam 3 mahine
- 2.Risk management seekho pehle, entry baad mein
- 3.Ek hi strategy pakdo, bar bar mat badlo
- 4.Daily chart dekho — 5-minute chart pe mat atto
- 5.YouTube se seekho — Trader Riaz, WaliBabaFX free hain
Aakhri Baat
Gold market bahut powerful hai. Yeh aapko ameer bhi kar sakta hai aur tabah bhi. Farq sirf ilm ka hai.
Agar aap seriously seekhna chahte hain to DM karo — main koi course nahi bechta, sirf jo maine seekha woh share karta hoon.
Have a mobile app, web platform, or AI idea?
Discuss your ideas or ask a question directly with Abdullah Indhar.
